Kahin pe dhup ki chaadar bitha ke baith gaye Kahin pe shaam sirhaane laga ke baith gaye


Kahin pe dhup ki chaadar bitha ke baith gaye

Kahin pe shaam sirhaane laga ke baith gaye

Jale jo ret mein talve to ham ne ye dekha

Bohot se log vahin chatpata ke baith gaye

Lahoo luhaan nazaaron ka zikr aaya to 

Shareef log utthe door ja ke baith gaye

Ye soch kar ke darakhton mein chhaaon hoti hai

Yahaan babool ke saaye mein jaake baith gaye

Dushyant kumar


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo