Mohe aai n jag se laj Mai itna jor se nachi aaj Ke gunngru tut gaye

Mohe aai n jag se laj 

Mai itna jor se nachi aaj

Ke gunngru tut gaye

Kuchh mujh pe naya joban bhi tha

Kuchh pyar ka pagalpan bhi tha

Her palak meri teer bani

Aur julf meri zanzir bani

Liya dil sajan ka jeet

Wo chhede payaliya ne geet

Ke gungru toot gaye

Wo kaiysi lagan baton me thi

Wo kis ki mahak raton me thi

Sandesa jo lai purvai

Mai khud se bhi sharmai

Jab ghar aaye the shyam

Liya tha mujhko aiysa tham

Ke gungaru toot gaye


Dharti pe n mere pair lage

Bin piya mujhe sab gair lage

Mujhe ang mile armanon ke

Mujhe pankh mile parwanon ke

Jab mila piya ka gaon

To aiysa lachaka meta panv

Ke gungru toot gaye


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo