Mudat Hui Hai Yaar Ko Mehmaan Kiye Huwe, Josh-E-Qadhaa Ke Bazam Charaghaan Kiye Huve,

Mirza Assadullah Khan Ghalib

Type By
*._.Murtaza._*

Mudat Hui Hai Yaar Ko
Mehmaan Kiye Huwe,

Josh-E-Qadhaa Ke
Bazam Charaghaan
Kiye Huve,

Karta Hoon Jamaa
Phir, Jigar-E-Lakht
Lakht Ko,

Arsaa Huaa Hai
Dawat-E-Masgaan
Kiye Huwe,

Phir Waza-E-Ihtiyaat
Se Rukne Laga Hai
Dam,

Barsoon Huve Hain
Chaak Girebaan Kiye
Hue,

Phir Garam-E-Naala
Haa'e Sharar Baar Hai
Nafas,

Mudat Hui Hai Sair-E-
Charaghaan Kiye Hue,

Phir Pursash-E-
Juraahat-E-Dil Ko
Chalaa Hai ISHQ,

Saaman-E-Sad Hazar
Namkdaan Kiye Hue,

Phir Bhar Raha Hoon
Khamaa-E-Masghaan
Bikhoon-E-Dil,

Saaz-E-Chaman
Taraazi-E-Damaan
Kiye Hue,

Baaham Digar Huwe
Hain Dil-O-Deeda Phir
Raqeeb,

Nizaraah-O-Khayaal
Ka Samaan Kiye Hue,

Dil Phir Tawaaf-E-Koo
-E-Malaamat Ko Jaa'e
Hai,

Pindaar Ka Sanam
Kadaah Veeran Kiye
Hue,

Phir Shauq Kar Raha
Hai Khareedar Ki
Talab,

Arz-E-Mataa-E-Aqal-O-
Dil-O-Jaan Kiye Hue,

Dorray Hai Phir Har
Aik Gull-O-Lala Par
Khayaal,

Sad Gullistaan Nigaah
Ka Samaan Kiye Hue,

Phir Chahta Hoon,
Namaa-E-Dildaar
Kholna,

Jaan, Nazar-E-Dil
Farebi Unwaan Kiye
Hue,

Maange Hai Phir, Kisi
Ko Lab-E-Baam Par
Haus,

Zulif-E-Siyaah, Rukh
Pe Pareshan Kiye Hue,

Chahe Hai Phir, Kisi Ko
Muqabil Main Aarzoo,

Surmaa Se Tezz
Dashna-E-Masghaan
Kiye Hue,

Ik Nu Bahaar-E-Naaz
Ko Taa Ke Hai Phir,
Nigaah,

Chehra Farogh-E-May
Se Gullistaan Kiye Hue,

Phir, Jee Main Hai Ke
Dar Pe Kisi Ke Parray
Rahein,

Sar Zer-E-Baar-E-
Minat-E-Darbaan Kiye
Hue,

Jee, Dhoondta Hai
Phir, Wohi Fursat Ke
Raat Din,

Baithe Rahein
Tassavur-E-Jana Kiye
Hue,

GHALIB! Hamain Na
Chairr Ke Phir Josh-E-
Ashak Se,

Baithe Hain Hum
Tahiy-E-Toofan Kiye
Hue...........!

Book Name
Deewan-E-Ghalib
Page 255-256-257

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo