Na Baab-E-Haraf-O- Sadaa Main, Na Maah- O-Saal Main Tha, Jawab Jis Ka Nahi Tha, Wo Us Sawaal Main Tha


Poetess Noshi Gillani

Type By
*._.Murtaza._*

Na Baab-E-Haraf-O-
Sadaa Main, Na Maah-
O-Saal Main Tha,

Jawab Jis Ka Nahi Tha,
Wo Us Sawaal Main Tha,

Main Zindagi Ki Tarha
Us Ki Baat Baat Main
Thi,

Wo Roshni Ki Tarha,
Mere Khado-Khal Main
Tha,

Ye Haraf Haraf Main
Khushboo, Ye Roshni
Ka Hunar,

Mera To Kuch Bhi Nahi
Sub Tere Jamal Main
Tha,

Jo Muskuraa Ke Judai
Ki Baat Karta Tha,

Mujhe Mila To Giraft-
E-Shab-E-Mallaal Main
Tha,

Ye Loog Yoon To Nahi
Thay Jo Ab Zawaal
Main Hain,

Ye Shehar Aisa Nahi
Tha Ke Jab Kamaal
Main Tha,

Ke Manzaroon Main Jo
Manzar Thay Wo Khule Mujh Par,

Yahi Hunar To Meri
Was'at-E-Khayal Main
Tha,

Andheri Raat Main
Jaise Charaagh Jall
Uthein,

Ye Kiya Tilsam Tere
Ism-E-Be-Misaal Main
Tha..........!

Mohabbatain Jab
Shumaar Karna,
Page 165-166

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo