Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Nazar Mein Zakham-e-Tabassum Chhupa Chhupa Ke Mila

Khafa Tou Tha Wo Magar Mujh Se Muskura Ke Mila

Wo Hamsafar Ke Mere Tanz Pe Hansa Tha Bohat

Sitam Zareef Mujhe Aaina Dikha Ke Mila

Mere Mizaaj Pe Hairaan Hai Zindagi Ka Shaoor

Mein Apni Mout Ko Aksar Galay Laga Ke Mila

Mein Uss Se Maangta Kya Khoon Bahaa Javaani Ka

Ke Voh Bhi Aaj Mujhe Apna Ghar Luta Ke Mila

Mein Jis Ko Dhundh Raha Tha Nazar Ke Raasta Mein

Mujhe Mila Bhi Toh Zaalim Nazar Jhuka Ke Mila

Mein Zakham Zakham Badan Le Ke Chal Diya “Mohsin” 

Voh Jub Bhi Apni Qabaa Per Kanwal Sajaa Ke Mila

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo