Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye, Pani Mein Akas Chaand Ka Dekha To Ro Diye,



Poet Saghar Siddiqui
Poocha Kisi Ne Haal Kisi Ka To Ro Diye,
Pani Mein Akas Chaand Ka Dekha To Ro Diye,
Naghma Kisi Ne Saaz Pe Cherra To Hans Parre,
Ghancha Kisi Ne Shakh Se Torra To Ro Diye,
Urrta Huwa Ghubaar
Sar-E-Raah Dekh Kar,
Anjaam Hum Ne Ishq Ka Socha To Ro Diye,
Badal Faza Mein Aap Ki Tasveer Ban Gaye,
Shaayd Koi Khayaal Se Guzra To Ro Diye,
Rang-E-Shafaq Se Aag Shagofoon Mein Lag Gai,
SAGHAR Hamare Haath Se Chalka To Ro Diye.........!
.
Book
Qaraz Hai Tum Pe 4 Phoolon Ka

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo