samundar saray sharab hotay to socho kitnay fasad hotay Gunah na hotay sawab hotay to socho kitnay fasad hotay

samundar saray sharab hotay to socho kitnay fasad hotay

Gunah na hotay sawab hotay to socho kitnay fasad hotay

kisi k dil main kia chupa hai bus khuda hi janta hai

 Dil agar be-nakab hotay to socho kitnay fasad hotay

cororoon lamhay hum nay yunhi teri furkat main tanha bita diyay 

gr ungliyon pay hisab hotay to socho kitnay fasad hotay

thee khamooshi fitrat hamari jo chand baras bhi nibh gaii

Gr hamaray mun main jawab hotay to socho kitnay fasad hotay

phir kis tarah chalta karobar e zindgi

shehar main sub he nawab hotay to socho kitnay fasad hotay

hum achay thay phir bhi un ki nazar main sada buray rahay

gr kaheen hum kharab hotay to socho kitnay fasad hotay


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo