Tark-e-Ta'aluqat Pe Roya Na Tou Na Main Lekin Ye Kia Keh Chain Se Soya Na Tou Na Main

ترک تعلقات پہ رویا نہ تو نہ میں
لیکن یہ کیا کہ چین سے سویا نہ تو نہ میں

وہ ہمسفر تھا مگر اس سے ہمنوائی نہ تھی
کہ دھوپ چھاوں کا عالم رھا جدائی نہ تھی

عداوتیں تھیں تغافل تھا رنجشیں تھیں مگر
بچھڑنے والے میں سب کچھ تھا بے وفائی نہ تھی

بچھڑتے وقت ان آنکھوں میں تھی ہماری غزل
غزل بھی وہ جو کسی کو کبھی سنائی نہ تھی

 

Tark-e-Ta'aluqat Pe Roya Na Tou Na Main

Lekin Ye Kia Keh Chain Se Soya Na Tou Na Main

Wo Humsafar Tha Magar Us Se Humnawaai Na Thi

Ke Dhoop Chhaon Ka Aalam Raha Judaai Na Thi

Adawatein Thein Taghaful Tha Ranjashein Thein Magar

Bicharrne Wale Mein Sab Kuch Tha Be-Wafai Na Thi

Becharrtay Waqt Un Aankhon Mein Thi Humari Ghazal

Ghazal Bhi Wo Jo Kisi Ko Kabhi Sunai Na Thi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo