Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya Afsurdgi Ka Roop Taraano’n Ne Le Liya



 Poet:Saghar Siddiqui
Teri Nazar Ka Rang Bahanon Ne Le Liya
Afsurdgi Ka Roop Taraano’n Ne Le Liya
Jin Ko Bhari Bahaar Mein Ghunchay Na Keh Sake
Woh Waaqeyaa Bhi Mere Fasaanon Ne Liya
Shayed Milay Ga Qaryaa Mehtaab Mein Sakoon
Ehl-E-Fard Ko Aese Gumaano’n Ne Le Liya
Yazwaa’n Se Bacha Raha Tha Jalalat Ka Ek Lafz
Us Ko Haram Ke Shokh Beyaano’n Ne Le Liya
Teri Adaa Se Ho Na Saka Jis Ka Faisla
Woh Zindagi Ka Raaz Fashaano’n Ne Le Liya
Afsaana Hayaat Ki Takmeel Ho Gayi
Apno’n Ne Le Liya Ke Begaano’n Ne Liya
Bholi Nahin Woh Qos-E-Qazaah Ki Si Surtain
Saghar Tumhain Toh Mast Dheyaano’n Ne Le Liya

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo