Unke Andaaz-e-Karam Un Pey Aana Dil Ka Haye Wo Waqt Wo Baatein Wo Zamana Dil Ka

Poet:Syed Naseer ud Din Naseer

Unke Andaaz-e-Karam Un Pey Aana Dil Ka
Haye Wo Waqt Wo Baatein Wo Zamana Dil Ka

Na Suna Us Ney Tawajjo Say Fasana Dil Ka
Umar Guzri Hai Magar Dard Na Jana Dil Ka

Dil Lagi Dil Ki Lagi Ban Ke Mita Deti Hai
Rog Dushman Ko Bhi Yaa Rab Na Lagana Dil Ka

Wo Bhi Apney Naa Howe Dil Bhi Haathon Say Gaya
Aisey Aaney Sat To Behtar Hai Na Aana Dil Ka

Unki Mehfil Mein Naseer UnKe Tabassum Ki Qasam
Hum Dekh`Tay Reh Gaye Haath Say Jana Dil Ka

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo