Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha Main Jis Mein Rah Raha Tha Wahi Ghar Mera Na Tha

 Poet:Iftikhar Arif

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha

Main Jis Mein Rah Raha Tha Wahi Ghar Mera Na Tha

Main Jis Ko Ek Umar Sambhale Phira Kiya

Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha

Mauj-E-Hawa-E-Shahar-E-Muqaddar Jawab De

Dariya Mere Na The K Samandar Mera Na Tha

Phir Bhi To Sangsar Kiya Ja Raha Hon Main

Kahte Hain Naam Tak Sar-E-Mahzar Mera Na Tha

Sab Log Apne Apne Qabilon K Sath The

Ek Main Hi Tha K Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha.....!


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo