Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb Aankhon Mein Phir Us Ke Bad Musalsal Azaab Aankhon Mein

 Poet:Iftikhar Arif

Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb Aankhon Mein

Phir Us Ke Bad Musalsal Azaab Aankhon Mein

Wo Jis Ke Naam Ki Nisbat Se Raushani Tha Wujood

Khattak Raha Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mein

Jinhen Mata-E-Dil-O-Jan Samajh Rahe The Ham

Wo Aa’iine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mein

Ajab Tarah Ka Hai Mausam K Khak Urti Hai

Wo Din Bhi The K Khile The Gulaab Aankhon Mein

Mere Ghazal Teri Wahshaton Ki Khair, K Hai

Bahut Dinon Se Bahut Iztaraab Aankhon Mein

Na Jane Kaisi Qayaamat Ka Peshkhema Hai

Ye Uljhanen Teri Be-Intasaab Aankhon Mein......!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo