Billo ka Basta Chhoti si billo chhota sa basta Thoonsa hai jisme kaagaz ka dasta



Billo ka Basta
Chhoti si billo chhota sa basta
Thoonsa hai jisme kaagaz ka dasta
Lakdi ka ghoda rooyi ka bhaalu
Chooran ki sheeshi aalu kachaalu
Billo ka basta jin ki pitaari
Jab is ko dekho pehley se bhaari
Lattu bhi isme rassi bhi isme
Da da bhi isme gilli bhi isme
Ai pyaari billo ye tau bataao
Kya kaam karney iskool jaao
Urdu na jaano english na jaano
Kehti Ho khud ko Bilqees Baano
Umr ki itni kacchi nahi ho
Chhey saal ki ho bacchi nahi ho
Baahar nikaalo lakdi ka ghoda
Ye lattu rassi ye gilli danda
Gudiya ke jootey jumper juraabe.n
Bastey mei.n rakho apni kitaabein
Munh na banaao iskool jaao
Ai pyaari Billo Ai pyaari Billo !
Ibn Insha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo