Dasht-e-Wafa Main Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha


Dasht-e-Wafa Main Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzray Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaaflay

Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aisi Meherbaan To Na Thi Hum Pe Zindagi

Kiun Her Koi Jahaan Main Humara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Dia Tha Mujhe MOHSIN

Main Khud Hi Kho Gai To Ye Mera Naseeb Tha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo