Gaye woh toh jahaan jaana tha unn ko Ab unn ka naqsh-e-paa hai aur mein hon


Gaye woh toh jahaan jaana tha unn ko

Ab unn ka naqsh-e-paa hai aur mein hon

Hazaron gham toh dekhe uss se mil kar

Wohi phir hausla hai aur mein hon

Har ek se haal- e- dil kehta hon apna

Yeh charcha ja-ba-ja hai aur mein hon

Tasawwar aap ka hai aur mein hon

Yehi ab mashghala hai aur mein hon


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo