Gulaab Aankhen Sharab Ankhen Yehi To Hein La-jawab Aankhen (Aankhein)


Gulaab Aankhen Sharab Ankhen

Yehi To Hein La-jawab Aankhen

Inhi Me Ulfat , Inhi Me Nafrat

Sawab Aankhen , Azab Aankhen

Kbhi Nazar Me Bala Ki Shokhi

Kbhi Sarapa Hijab Aankhen

Kbhi Chhupaati Hn Raaz Dil K

Kbhi Hn Dil Ki Kitab Aankhen.

Kisi Ny Daikhi To Jheeel Jaisi

Kisi Ny Payeen Saraab Aankhen

Woh Aaye To Log Mujh Se Bolay

Hazoor Aankhen Janab Aankhen

Ajeeb Tha Guftagu Ka Aalam

Sawal Koi Jawab Aankhen

Yeh Mast Mast be-Misal Ankhen

Nashy Se Hr Dam Nidhal Ankhen

Uthain To Hosh-o-Hawaas Cheenen

Giren To Kr Dain kamal ankhen

Koi Hai Inn K Karam Ka Talib

Kisi Ka Shook-e-Wisal Ankhen

Na Yun Jalain Na Yun Satain

Karen To kuch Ye kheyal Ankhen

Hein Jeene ka ik Bahana Yaro

Ye Rooh Parwar Jamal Ankhen

Daraz Palken Ghazal Ankhen

Musawri ka Kamal Ankhen

Shrab RAB Ne Haram kardi

Magr Rakhi Hen Halal Ankhen

Hazaro inse Qatal Hue Hen

Khuda k Banday Sambhal Ankhen


2 comments:

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo