hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye charaghon ki tarah aankhen jalen jab shaam ho jaye

Poet:Basheer Badar

hamara dil savere ka sunahra jaam ho jaye
charaghon ki tarah aankhen jalen jab shaam ho jaye

ajab halaat the yoon dil ka sauda ho gaya aakhir
muhabbat ki haweli jis tarah neelaam ho jaye

samandar ke safar mein is tarah awaaz do hamko
hawayen taiz hon aur kashtiyon mein shaam ho jaye

mujhe maloom hai us ka thikana phir kahan hoga
parinda aasmaan chhoone mein jab nakaam ho jaye

ujaale apni yaadon ke hamare saath rahne do
na jane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo