Jo Tum Be-Aib Chaho To Fareshton Se Nibhah Kar Lo


ﺟﻮ ﺗﻢ بے عیب ﭼﺎﮨﻮ ﺗﻮ ﻓﺮﺷﺘﻮﮞ ﺳﮯ ﻧﺒﺎﮦ ﮐﺮ ﻟﻮ،
ﻣﯿﮟ ﺁﺩﻡ ﮐﯽ ﻧﺸﺎﻧﯽ ﮨﻮﮞ،

ﻣﺠﮭﮯ ﺍﻧﺴﺎﻥ ﺭﮨﻨﮯ ﺩﻭ،
ﺗﻤﮩﺎﺭﯼ ﮐﮩﮑﺸﺎﺅﮞ ﻣﯿﮟ،
ﻣﯿﺮﯼ ﮐﻮﺋﯽ ﺟﮕﮧ ﮐﺐ ﺗﮭﯽ،
ﻣﯿﮟ ﺍﮎ ﺍﺟﮍﺍ ﺟﺰﯾﺮﮦ ﮨﻮﮞ،
ﻣﺠﮭﮯ ﻭﯾﺮﺍﻥ ﺭﮨﻨﮯ ﺩﻭ،
ﺟﻮ ﮨﻮﺗﺎ ﮨﮯ ﻭﮨﯽ ﮐﺮﻧﺎ،
ﻧﮧ ﺑﺪﻟﻮ ﺭﺳﻢِ ﺩﻧﯿﺎ ﮐﻮ،
ﻭﮦ ﺗﻢ ﺗﮭﮯ ﯾﺎ ﮐﻮﺋﯽ ﺍﭘﻨﺎ،
ﻣﺠﮭﮯ ﺣﯿﺮﺍﻥ ﺭﮨﻨﮯ ﺩﻭ،
ﻣﯿﺮﺍ ﺩﻝ ﯾوں شِکستا ﮨﮯ،
ﮐﻮﺋﯽ ﺍﺟﮍﺍ ﺳﺎ ﻣﻨﺪﺭ ﮨﻮ،
ﻣﺠﮭﮯ ﻭﺣﺸﺖ ﮨﮯ ﺭﻭﻧﻖ ﺳﮯ،
ﻣﺠﮭﮯ ﺳﻨﺴﺎﻥ ﺭﮨﻨﮯ ﺩﻭ،
ﺧﺪﺍ ﮐﮯ ﮐﺎﺭﺧﺎﻧﮯ ﻣﯿﮟ،
ﺑُﺮﺍ ﮐﭽھ ﺑﮭﯽ ﻧﮩﯿﮟ ﮨﻮﺗﺎ،
ﺧﺪﺍﺭﺍ ﮨﻮﺵ ﻣﯿﮟ ﺁﺅ،
ﮐﻮﺋﯽ ﺍﻣﮑﺎﻥ ﺭﮨﻨﮯ ﺩﻭ


Jo Tum Be-Aib Chaho To 
Fareshton Se Nibhah Kar Lo
Main Adam Ki Nishani Hon 
Mujhe Insaan Rehne Do
Tumhari Kehkeshaon Mein 
Meri Koi Jagah Kab Thi
Main Ik Ujrra Jazeera Hon 
Mujhe Veeraan Rehne Do
Jo Hota Hai Wahi Karna 
Na Badlo Rasm-e-Dunya Ko
Wo Tum Thay Ya Koi Apna 
Mujhe Hairaan Rehne Do
Mera Dil Yun Shikasta Hai 
Koi Ujrra Saa Mandir Ho
Mujhe Wehshat Hai Ronaq Se 
Mujhe Sunsaan Rehne Do
Khuda Ke Kaarkhaane Mein 
Bura Kuch Bhi Nahi Hota
KhudaRa Hosh Mein Aao 
Koi Imkaan Rehne Do

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo