Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna


Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna
Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo
Nazar Say Harf-e-Salam Likhna

Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein
Sulagtay Din Thay, Sulagti Ratein
Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par
Muhabbaton Kay Payaam Likhna

Gulab Chehron Say Dil Lagana
Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana
Wo Arzu’on Kay Khwab Bun’na
Wo Qissa-e-Na Tamaam Likhna

Mere Nagar Ki Haseen Fizao
Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao
To Poochna Ke Kahan Basay Wo
Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna

Gayee Ruton Mein Rubab Apna
Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha
Kisi Kay Chehray Ko Subah Likhna
Kisi Kay Chehray Ko Sham Likhna

HASSAN RIZVI


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo