Khaak Urrti Hai Hum Jidhar Jaein Ye Na Raastoon Mein Mar Jaein


Poet Farhat Abbas Shah
Type By
 UJRRA_DIL

Khaak Urrti Hai Hum Jidhar Jaein
Ye Na Raastoon Mein Mar Jaein
Phir Rahe Hain Azal Se Aawara
Be Qaraari Ghatte To Ghar Jaein
Youn Bhala Chup Huwa Hai Kon Kabhi?
Saans Jo Lein To Khud Hi Dar Jaein
Teri Simtein Teri Talaash Hazaar
Hum Akele Kidhar Kidhar Jaein?
Un Ka Daaman Ho Aur Farhat Jee
Motiyoun Ki Tarah Bikhar Jaein............................*
Book 
Aankhoon K Paar Chaand
Page 109 110

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo