khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kaisi lahu main nach rahin hain ye wahshaten kaisi


khayal-o-khwab hue hain muhabbaten kaisi

lahu main nach rahin hain ye wahshaten kaisi

na shab ko chand hai acha na din ko mehar acha

ye ham pe bit rahi hain qayamaten kaisi

azab jin ka tabassum sawab jin ki nigah

khinchi hui hain pas-e-janan suraten kaisi

hawa k dosh pe rakhe hue charag hain ham

jo bujh gaye to hawa se shikayaten kaisi

jo bekhabar koi guzra to sada ye di hai

main sang-e-rah hun mujh par inayaten kaisi

jo a rahe so wo bhi ab sang-o-khisht lata hai

faza ye ho to dilon ki nazakaten kaisi  

Obaidullah Aleem


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo