Lazzat se nahin khalli jaanon ka khapa jaana Kab khizro.maseeha ne jeene ka mazza jaana


Lazzat se nahin khalli jaanon ka khapa jaana
Kab khizro.maseeha ne jeene ka mazza jaana

Kab bandagi meri si banda karega koyee
Jaane hai khuda usko Maine tujhko khuda jaana

Tha naaz bahut humko daanisht par apnee bhee
Aakhir woh bura nikla hum jisko bhala jaana

Eh shor.e.qyammat ham sote hee na reh jaayen
Is rah se niklo to humko bhee jagaa jaana

Jaatee hai guzar ji par us waqt qyammat si
Yaad aave hai tera jab yak.baargi aa jaanaa

Meer


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo