Mere Band Hontoon Par Dolte Hain Sunaate Saans Bhi Jo Leta Hoon Bolte Hain Sunaate,


شاعر قتیل شفائی
بوک صنم
صفہہ 
163
انتخاب اجڑا دل
میرے بند ہونٹوں پر ڈولتے ہیں سناٹے
سانس بھی جو لیتا ہوں بولتے ہیں سناٹے
جب بھی کوئی پرچھائی جسم بن نہیں پاتی
آنسوؤں کو مٹی میں رولتے ہیں سناٹے
رات کے کٹہرے میں کوکتی ہے جب کوئل
زہر میرے کانوں میں گھولتے ہیں سناٹے
بھر کے درد سینے میں کر کے پارہ پارہ دل
مجھ کو میری آہوں میں تولتے ہیں سناٹے
جب قتیل دیتا ہوں دستکیں درۓ دل پر
حسرتوں کا دروازہ کھولتے ہیں سناٹے

Poet Qateel Shafaai
Book Sanam Page No 163
Type
By
*_UJRRA_DIL_*
Mere Band Hontoon Par Dolte Hain Sunaate
Saans Bhi Jo Leta Hoon Bolte Hain Sunaate,
Jab Bhi Koi Parchhaai Jisam Ban Nahi Pati,
Aansowoon Ko Matti Mein Rolte Hain Sunaate,
Raat K Kat'hre Mein Kookti Hai Jab Koyel,
Zehar Mere Kaanoon Mein Gholte Hain Sunaate,
Bhar K Dard Seene Mein Kar K Paraah Paraah Dil,
Mujh Ko Meri Aahoon Mein Tolte Hain Sunaate,
Jab QATEEL Deta Hoon Dastkein Dar-E-Dil Par,
Hasrtoon Ka Darwazah Kholte Hain Sunaate............*.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo