Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak


Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak

Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak

Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar

Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak

Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa

Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak

Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar

Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak

Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su

Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak

Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar

Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo