Na ghubar mein na gulaab mein mujhe dekhna mere dard ke aab-o-tab mein mujhe dekhna


Na ghubar mein na gulaab mein mujhe
dekhna
mere dard ke aab-o-tab mein mujhe
dekhna
kisi waqt sham malal mein mujhe sochana
kabhi apne dil ke kitaab mein mujhe dekhna
kisi dhun mein tum bhi jo bastiyon ko tyag do
isi rah-e-khanakharaab mein mujhe dekhna
kisi raat mah-o-najum se mujhe
poochana
kabhi apni chashm purab mein mujhe
dekhna
isi dil se ho kar guzar gaye kai karawaan
ke hijraton ke zab mein mujhe
dekhna
main na mil sakon bhi to kya hua ke fasana hon
nayi dastaan naye baab mein mujhe dekhna
mere har har sawaal mein mujhe dhundhna
mere geet mein mere khuwaab mein mujhe
dekhna
mere aansuon ne bujhai thi meri tashnagi
isi bargzida sahab mein mujhe
dekhna
wohi ik lamha deed tha ke ruka raha
mere roz-o-shab ke hisaab mein mujhe
dekhna
jo tarrap tujhe kisi aaine mein na mil sake
to phir aaine ke jawaab mein mujhe
dekhna

Ada Jafri

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo