Ranj- E- Furqat Usey Hua Hi Nahin Aisa Bichhrra Hai Phir Mila Hi Nahin


Ranj- E- Furqat Usey Hua Hi Nahin
Aisa Bichhrra Hai Phir Mila Hi Nahin

Meri Barbaadiyon Ka Puchhtey Ho
Jaise Tum Ko Toh Kuchh Pata Hi Nahin

Baat Karta Toh Hum Mana'a Letey
Kuchh Kaha Hi Nahin, Suna Hi Nahin

Iss Tarah Hum Pe Zulm Dhaatey Ho
Jaisey Apna Koyi Khuda Hi Nahin

Ab Toh Marzi Hai Gham Ke Tufaan Ki

Kashti- E- Dil Ka Na-Khuda Hi Nahin


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo