Sadiyon Taweel Raat Ke Zaano Se Sar Utha Soraj Ufaq Se Jhaank Raha Hai Nazar Utha


Sadiyon Taweel Raat Ke Zaano Se Sar Utha
Soraj Ufaq Se Jhaank Raha Hai Nazar Utha

Itni Buri Nahi Hai Khander Ki Zameen Bhi
Is Dhair Ko Samait Naye Baam-O-Dar Utha

Manzil Pe Aa Ke Dekh Raha Hon Mein Aaina
Kitna Ghubaar Tha Jo Sar-E-Rah'guzar Utha

Dastak Mein Koi Dard Ki Khushboo Zaror Thi
Darwaaza Kholnay Ke Liye Ghar Ka Ghar Utha

Qaisar Mataa-E-Dil Ka Kharedaar Kon Hai
Bazaar Ujarr Gaya Hai Dukaan-E-Hunar Utha

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo