Tha Meer Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye,Ghalib Tumhare Saare Tarafdaar Mar Gaye

Tha Meer Jinko Shair Ka Aazaar Mar Gaye

Ghalib Tumhare Saare Tarafdaar Mar Gaye

Jazbon Ki Wo Sadaqatein Marhoom Ho Gaiyen

Ihsaas Ke Naye Naye Izhaar Mar Gaye

Tashbeeh-O-Istea'ara-O-Ramz-O-Kinaya Kia

Paikar Taraash Shair Ke Fankaar Mar Gaye

Saaqi! Teri Sharaab Barra Kaam Kar Gayi

Kuch Raastay Main,Kuch Pas-e-Deewaar Mar Gaye

Taqdees Dil Ki Aasiyaan Nigari Kahaan Gayi

Shayad Ghazal Ke Saare Gunahgaar Mar Gaye

Shairon Mein Ab Jihaad Hai,Roza Namaaz Hai

Urdu Ghazal Mein Jitnay Thay Kuffaar Mar Gaye

Akhbaar Ho Rahi Hai Ghazal Ki Zubaan Ab

Apnay Shaheed Aath,Udhar Chaar Mar Gaye

Misron Ko Hum Ne Na'ara-E-Takbeer Kar Diya

Geeton Ke Pukhta Kaar Gulokaar Mar Gaye

Tanqeedi Istelahon Ke Mushtaq Shahsawaar

Ghorron Pe Dorre Aaye Sar-E-daar Mar Gaye

Naaz-O-Ada Se Machliyaan Ab Hain Ghazal Sara

Tehmad Pakarr Ke Saahib-E-Dastaar Mar Gaye

Ya RAB! Talsum Hosh Raha Hai Mushaira

Jin Ko Nahi Bulaya,Woh Ghamkhuwaar Mar Gaye.....!

Dr Basheer Badar

تھا مِیر جن کو شعر کا آزار مر گئے
غالب تمھارے سارے طرفدار مر گئے
جذبوں کی وہ صداقتیں مرحُوم ہو گئیں
احساس کے نئے نئے اِظہار مر گئے
تشبیہہ و استعارہ و رمز و کنایہ کیا
پَیکر تراش شعر کے فنکار مر گئے
ساقی! تِری شراب بڑا کام کر گئی
کچھ راستے میں، کچھ پَسِ دِیوار مر گئے
تقدیسِ دِل کی عصیاں نِگاری کہاں گئی
شاید غزل کے سارے گنہگار مر گئے
شعروں میں اب جہاد ہے، روزہ نماز ہے
اُردو غزل میں جتنے تھے کُفّار مر گئے
اخبار ہو رہی ہے غزل کی زبان اب
اپنے شہید آٹھ ، اُدھر چار مر گئے
مصرعوں کو ہم نے، نعرۂ تکبِیر کر دِیا
گِیتوں کے پُختہ کار گُلوکار مر گئے
تنقِیدی اصطلاحوں کے مُشتاق شہسوار
گھوڑوں پہ دوڑے آئے، سَرِ دار مر گئے
ناز و ادا سے مچھلِیاں اب ہیں غزل سَرا
تہمد پکڑ کے صاحبِ دستار مر گئے
یا رب! طلسمِ ہوش رہا ہے مُشاعرہ
جن کو نہیں بُلایا، وہ غم خوار مر گئے
ڈاکٹر بشیر بدر

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo