Ye Aalam Shuoq Ka Dekha Na Jaye Wo But Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye


Ye Aalam Shuoq Ka, Dekha Na Jaye 
Wo But Hai Ya Khuda, Dekha Na Jaye
Ye Mere Saath Kaisi Roshni Hai
Keh Mujh Se Raasta,Dekha Na Jaye
Ye Kin Nazron Se Tu Ne Aaj Dekha
Keh Tera Dekhna,Dekha Na Jaye
Hamesha Ke Liye Mujh Se Becharrh Ja
Ye Manzar Baarha,Dekha Na Jaye
Faraz Apne Sewa Hai Kon Tera?
Tujhe...Tujh Se Juda,Dekha Na Jaye
Ahmad Faraz
یہ عالم شوق کا، دیکھا نہ جائے
وہ بت ہے یا خدا، دیکھا نہ جائے
یہ میرے ساتھ کیسی روشنی ہے
کہ مجھ سے راستہ، دیکھا نہ جائے
یہ کن نظروں سے تُوں نے آج دیکھا
کہ تیرا دیکھنا، دیکھا نہ جائے
ہمیشہ کے لیے مجھ سے بچھڑ جا
یہ منظر بارہا، دیکھا نہ جائے
فراز اپنے سوا ہے کون تیرا؟
تُجھے ۔۔۔ تُجھ سے جُدا، دیکھا نہ جائے
احمد فراز

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo