Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai

 

Aainon mein aks na hon toh hairat rehti hai

jaise khaali aankhon mein bhi wehshat rehti hai

Har dum duniya ke hungaame ghere rakhte the

jab se tere dhyaan lage hain fursat rehti hai

Karni hai toh khul ke karo inkaar-e-wafa ki baat

baat adhoori reh jaaye toh hasrat rehti hai

Shehar-e sukhan mein aisa kuchh kar izzat ban jaaye

sab kuchh mitti ho jaata hai izzat rehti hai.

Bante bante dheh jaati hai dil ki har taameer

khwaahish ke behroop mein shayad qismat rehti hai

Saaye larazte rehte hain shehron ki galyion mein

rehte the insaan jahan ab dehshat rehti hai

Mausam koi khushboo le kar aate jaate hain

kya kaya hum ko raat gaye tak wehshat rehti hai.

Dhyaan mein mela sa lagta hai beeti yaadon ka

aksar uss ke ghum se dil ki sohbat rehti hai

PHOOLON ki takhti par jaise rangon ki tehreer

lauh-e-sukhan par aise ''amjad'' shohrat rehti hai

Amjad Islam Amjad

 

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo