Aaj zara fursat paayi thi, aaj usey phir yaad kiya Band gali ke aakhri ghar ko khol ke phir aabaad kiya

Aaj zara fursat paayi thi, aaj usey phir yaad kiya

Band gali ke aakhri ghar ko khol ke phir aabaad kiya

Khol ke khirki chaand hansa, phir chaand ne donon haathon se

Rang urraye phool khilaaye chirryon ko aazad kiya

Barre barre gham kharre huye thay raasta rokey rahon mein

Chhoti chhoti khushiyon se hi hum ne dil ko shaad kiya

Baat bahut maamooli si thi, ulaajh gayi takraaron mein

Ek zara si zid ne aakhir donon ko barbaad kiya

Daanaaon ki baat na maani! kaam aayi nadaani hi

Suna hawaa ko parrhaa nadi ko mausam ko ustaad kiya

 

آج ذرا فرصت پائی تھی آج اسے پھر ہاد کیا
بند گلی کے آخری گھر کو کھول کے پھر آباد کیا

کھول کے کھڑکی چاند ہنسا پھر چاند نے دونوں ہاتھوں سے
رنگ اڑائے پھول کھلا ئے چڑیوں کو آزاد کیا

بڑے بڑے غم کھڑے ہوئے تھے رستہ روکے راہوں میں
چھوٹی چھوٹی خوشیوں سے ہی ہم نے دل کو شاد کیا

بات بہت معمولی سی تھی الجھ گئی تکراروں میں
ایک ذرا سی ضد نے آخر دونوں کو برباد کیا

داناؤں کی بات نہ مانی کام آئی نادانی ہی
سنا ہَوا کو پڑھا ندی کو موسم کو استاد کیا

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo