Bahaar aai to jaise ek baar LauT aaye hain phir adam se


Bahaar aai to jaise ek baar

LauT aaye hain phir adam se

Vo Khvaab saare shabaab saare

Jo tere honThon pe mar miTe the

Jo miT ke har baar phir jiiye the 

Nikhar gaye hain gulaab saare

Jo terii yaadon se mushkbu hain

Jo tere ushshaaq kaa lahuu hain

Ubal pare hain azaab saare

Malaal-e-ahavaal-e-dostaan bhi

Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaan bhi

Gubaar-e-Khaatir ke baab saare

Tere hamaare

Savaal saare javaab saare

Bahaar aai to khul gaye hain

Naye sire se hisaab saare


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo