Chup Na Rehtey Bayaan Ho Jaate Tujh Se Gar Bad-Gumaan Ho Jaate


Chup Na Rehtey Bayaan Ho Jaate

Tujh Se Gar Bad-Gumaan Ho Jaate

Zabt-E-Gham Ne Bacha Liya Warna

Hum Koyi Daastaan Ho Jaate

Tu Ne Dekha Nahin Palat Ke Hamein

Warna Hum Meharbaan Ho Jaate

Tere Dil Ki Zameen Hi Na Mili

Warna Hum Aasmaan Ho Jaate.

ﭼُﭗ ﻧﮧ ﺭﮨﺘﮯ ﺑﯿﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ
ﺗﺠﮫ ﺳﮯ ﮔﺮ ﺑﺪﮔُﻤﺎﻥ ﮨﻮﺟﺎﺗﮯ

ﺿﺒﻆِ ﻏﻢ ﻧﮯ ﺑﭽﺎ ﻟﯿﺎ ﻭﺭﻧﮧ
ﮨﻢ ﮐﻮﺋﯽ ﺩﺍﺳﺘﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ

ﺗُﻮ ﻧﮯ ﺩﯾﮑﮭﺎ ﻧﮩﯿﮟ ﭘﻠﭧ ﮐﮯ ﮨﻤﯿﮟ
ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﻣﮩﺮﺑﺎﻥ ﮨﻮ ﺟﺎﺗﮯ

ﺗﯿﺮﮮ ﺩﻝ ﮐﯽ ﺯﻣﯿﻦ ﮨﯽ ﻧﮧ ﻣِﻠﯽ
ﻭﺭﻧﮧ ﮨﻢ ﺁﺳﻤﺎﻥ ہو ﺟﺎﺗﮯ


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo