Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha


Dasht-e-Wafa Mein Pyaas Ka Aalam Ajeeb Tha

Dekha To Aik Dard Ka Dariya Qareeb Tha

Guzrey Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafley

Her Her Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb Tha

Kuch Aysi Meherbaan Tou Na Thi Ham Pe Zindagi

Kyun Her Koi Jahaan Mein Hamara Raqeeb Tha

Apna Pata To Us Ne Diya Tha Mujhy MOHSIN

 Main Khud Hi Kho Gaya Tou Ye Mera Naseeb Tha


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo