Haath khaali hain tere shehar se jaate jaate jaan hoti toh meri jaan lutaate jaate

 

Poet:Rahat Indori

Haath khaali hain tere shehar se jaate jaate

jaan hoti toh meri jaan lutaate jaate

Ab toh har haath ka patthar humen pehchaanta hai

umar guzri hai tere shehar mein aate jaate

Ab ke mayoos hua yaaron ko rukhsat kar ke

jaa rahe the toh koi zakhm lagaate jaate

Rengne ki bhi ijaazat nahin hum ko warna

hum jidhar jaate naye PHOOL khilaate jaate

Main toh jalte hue sehraaon ka ek patthar tha

tum toh dariya the meri pyaas bujhaate jaate

Mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shayad

log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate

Hum se pehle bhi musaafir kayi guzre honge

kam se kam raah ke patthar toh hataate jaate....!!!



No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo