Junoon-e-shauk ab bhee kam nahin hai Magar woh aaj bhee barham nahin hai


Junoon-e-shauk ab bhee kam nahin hai
Magar woh aaj bhee barham nahin hai

Bahut mushkil hai duniya ka sanwarna
Teri zulfon ka pech-o-kham nahin hai

Bahut kuchh aur bhee hai is jahaan mein
Yeh duniya bas gham hee gham nahin hai

Takaaze kyon karoon paiham na saaqi
Kisse yahan phikr-e-baish-o-kam nahin hai

Udhar mashkook hai meri sadaqat
Idhar bhee badgumani kam nahin hai

Meri barbaadiyon ka hamnasheenon
Tumhe kya mujhe khud bhee gham nahin hai

Abhi bazm-e-tarab se kyon uthoon mein
Abhhe to aankh bhee purnam nahin hai

majaz lakhnavi


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo