Kia Rukhsat-E-Yar Ki Ghari Thi Hansti Hoi Rat Ro Pari Thi


Poet: Ahmad Faraz
Type By
*._Ayaz Khan_.*
Kia Rukhsat-E-Yar Ki Ghari Thi
Hansti Hoi Rat Ro Pari Thi
Hum Khud Hi Howe Tabah Warna
Dunia Ko Humari Kia Pari Thi
Ye Zakham Hain Un Dino Ki Yadain
Jab Aap Se Dosti Bari Thi
Jate To Kidhar Ko Tere Weshi
Zanjeer-E-Jano Kari Parri Thi
Dar-Yozah-Gar-E-Hayat Ban Kar
Dunia Teri Rah Mein Kharri Thi
Gham Thay K FARAZ Andhiyan Thien
Dil Tha K FARAZ Pankhrri Thi........!
Book: Tanha Tanha
Page: 44
Ghazal: 19


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo