kisi ki ankh jo purnam nahi hai na samajho ye ke us ko gham nahi hai


kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko gham nahi hai

savad-e-dard main tanha khara hon
palat jaun magar mausam nahi hai

samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai

sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai

ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai

kinara dusra dariya ka jaise
wo sathi hai magar mahram nahi hai

dilon ki raushani bujhne na dena
wajood-e-tiragi mahkam nahi hai

main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zakhm ka marham nahi hai

jo koi sun sake Amjad to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-gham nahi hai


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo