Kuch Log Bhi Wehmon Mein Giraftaar Bohat Hain Kuch Shehar Ki Galiyaan Bhi Pur-Israar Bohat Hain


Kuch Log Bhi Wehmon Mein Giraftaar Bohat Hain
Kuch Shehar Ki Galiyaan Bhi Pur-Israar Bohat Hain

Hai Kon, Utarta Wahaan Jis Key Liye Chaand
Kehnay Ko To Chehray Pas-e-Dewaar Bohat Hain

Hontoun Pey Sulagtey Hoye Inkaar Pey Mat Jaa
Palkon Sey Parey Bheegtay Iqraar Bohat Hain

Yeh Dhoop Ki Sazish Hai K Mousam Ki Shrarat
Saaye Hain Wahaan Kam Jahaan Ashjaar Bohat Hain

Be Harf-e-Talab Un Ko Atta Kar Kabhi Khud Sey
Wo Youn Key Sawaali Teray Khud-daar Bohat Hain

Tum Munsif-o-Aadil Hi Sahi Shehar Mein Lekin
Kyon Khoon Key Cheentay Sar-e-Dastaar Bohat Hain

Aey Hijr Ki Basti Too Salamat Rahey Lekin
Sunsaan Teray Koocha-o-Bazaar Bohat Hai

 "Mohsin" Humien Zid Hai K Ho "Andaaz-e-Byaan Aur"
Hum Log Bhi Ghalib Key Traf Daar Bohat Hain


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo