Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho Baat itni bhi na brr jaye k ruswai ho


Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum-e-tanhai ho
Baat itni bhi na brr jaye k ruswai ho

Jis ne bhi mujhko tamasha sa bana rakha hy
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho

Dobne wale to aankho se bhi kub nikle hain
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho

Main tujhe jeet bhi tohfey me nahi de sakta
Chahta ye bhi nahi hon teri paspai ho

Koi anjan na ho shehr-e-mohabat ka makeen
Kaash har dil ki har ik dil se shanasai ho

Aaj to baz'm mein har aankh thi pur'num jaise
Daastaan meri kisi ne yahaan dohraai ho

Yun guzar jata hai Mohsin tere koche se woh
Tera wakif na ho jese koi Sodai ho


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo