Maan Le Ab Bhi Meri Jaan e Ada Dard Na Chun Kam Aati Nahi Phir Koi Dua Dard Na Chun

Poet: Wasi Shah

Maan Le Ab Bhi Meri Jaan e Ada Dard Na Chun

Kam Aati Nahi Phir Koi Dua Dard Na Chun

Aur Kuch Dair Mein Mujh Ko Chale Jana Ho Ga

Aur Kuch Dair Mujhe Khawaab Dekha Dard Na Chun

Aik Bhi Dard Na Kam Ho Ga Kai Sadiyon Mein

Ab Bhi Kehta Hon Tujhe Waqat Bacha Dard Na Chun

Wo Jo Lekha Hai Kisi Tour Nahi Tal Sakta

Aa Mere Dil Mein Koi Deep Jala Dard Na Chun

Mein Tere Lamis Se Mehroom Na Reh Jaaon Kahen

Aakhri Baar Mujhe Khud Se Laga Dard Na Chun

Ab To Ye Rishmi Poreen Bhi Chhdi Jati Hain

Khud Ko Ab Bakhs Bhi De Zulm Na Dhha Dard Na Chun

Ye Nahi Hon Ge To Khali Nahi Ho Jaon Ga Mein

Mere Zakhmo Se Koi Geet Bana Dard Na Chun

Kuch Na De Ga Ye Masil Se Ulajte Rehna

Chhor Sub Kuch Meri Bahon Mein Sama Dard Na Chun......!

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo