Mann toh maqtal mien bhi qismat ke sikandar nikla qura-e-fa'al mere naam ka aksar nikla


Mann toh maqtal mien bhi qismat ke sikandar nikla
qura-e-fa'al mere naam ka aksar nikla

tha jinhein zau'um woh darya bhi mujhi mein doobay
mein keh sehra nazar aata tha, samandar nikla

mein ne us jaan-e-baharaan ko bahut yaad kiya
jab koi phool meri shakh-e-hunar par nikla

shehar waloon ki mohabbat ka qaa'il hoon magar
mein ne jis haath ko chooma, wohi khanjar nikla

tu yahein haar gaya hai mere buzdil dushman
mujh se tanha ke muqaabil tera lashkar nikla

mein ke shehr-e-mohabbat ka musafir tha FARAZ
aik jhonka tha ke khushbu ke safar par nikla


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo