Mein Talkhi Hayat Se Ghabra Ke Pee Gia Gham Ki Seya Rat Se Ghabra Ke Pee Gia



Poet: Saghar Saddiqui
Typ By
*._Ayaz_Khan_.*
Mein Talkhi Hayat Se Ghabra Ke Pee Gia
Gham Ki Seya Rat Se Ghabra Ke Pee Gia
Atni Daqqeeq Shay Koi Kese Samajh Sake
Yazdaan Ke Waqeyat Se Ghabra Ke Pee Gia
Jhalke Howe Thay Jaam Parishaan Thi Zulf-E-Yaar
Kuch Aese Hadsat se Ghabra Ke Pee Gia
Mein Aadmi Hoon Koi Farishta Nahi Hazoor
Mein Aaj Apni Zaat Se Ghabra Ke Pee Gai
Dunia-E-Hadsat Hai Eik Dard-naak Geet
Dunia-E-Hadsat Se Ghabra Ke Pee Gia
Kante To Khair Kante Hain In Se Gela Hi Kia
Pholon Ki Wardat Se Ghabra Ke Pee Gia
SAGHAR Wo Keh Rahe Thay Ke Pee Lijiye Hazoor
Un Ki Guzarishat Se Ghabra Ke Pe Gia..!
Book,
Kuliyat e Saghar
Page, 74,75

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo