MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hay Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hay

MOHSIN NAQVI

MiL He jaaye Ga kahin, DiL ko Yaqeen Rehta Hay

Haan Woh Is Shehar ki Galiyon Main kahin Rehta Hay

Ek Zamana Tha k Sab Aik Jagah Rehtay Thay

Or Ab koi kahin, koi kahin Rehta Hay

Jis ki Saanson Say Mo'atTar Thay Dar-o-Diwaar Terey

Aaye Makaan Bool, kahan Ab Woh Makeen Rehta hay?

Rooz Milnay Pay Bhi Lagta Hay k Jagg Beet Gaye

Ishq Main Waqt ka Ehsaas Nahin Rehta Hay

DiL Afsurda Howa, Dekh kar Us ko
MOHSIN

Umar Bhar koun jawaan, Koun Haseen Rehta Hay.?

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo