Na Rahi Wo Bazam-E- Ashrat, Na Woh Aesh -E-Javdaana, Teri Ik Nazar Ne Loota, Meri Umar Ka Khazaana,


Poet: Naseer-O-Deen Naseer
Type By
*._.Murtaza._*
Na Rahi Wo Bazam-E-
Ashrat, Na Woh Aesh
-E-Javdaana,
Teri Ik Nazar Ne
Loota, Meri Umar Ka
Khazaana,
Na Kaheen Ka Tu Ne
Chorra, Mujhe Gardish
-E-Zamaana,
Nahi Dhoondne Se
Milta, Kaheen Ab Koi
Thikaana,
Mere Badnasseeb Dil
Ko, Na Mila Kaheen
Thikaana,
Na Hareem-E-Lala-O-
Gull, Na Qafas, Na
Aashianaa,
Yahi A'en-E-Bandagi
Hai, Yahi Ramz-E-
Aarfaana,
Tere Aastaan Pe Jana
Tere Dar Pe Sar
Jhukaana,
Mera Aakhiri Sahaara
Toh Yeh Qurb Hai
Tumhara,
Jise Aasra Diya Hai,
Ose Yoon Na Chorr
Jana,
Na Woh Qurbatain Na
Woh Jalwe, Na Woh
Rooz-O-Shab Muyasar,
Jise Dhoondti Hain
Nazrain, Woh Guzar
Gaya Zamaana,
Tere Sang-E-Dar Se
Mujh Ko, Yeh Mili Hai
Sar Bulandi,
Mera Taaj-E-Sarvari
Hai, Teri Khaak-E-
Aastaana,
Mere Sath Tu Rahega
Toh Zamaana Kia
Kahega,
Meri Ik Yahi Tamana,
Ose Ik Yahi Bahaana,
Yeh Wafa'oon Ka Sila
Hai, Yeh Karam Ki
Intiha Hai,
Mujhe Us Ne Apna
Samjha, Mujhe Us Ne
Apna Jana,
Nahi Un Ki Zaat Se
Kuch, Mujhe Ae
Naseer Nisbat,
Main Gull-E-Khazaan
Rasidaah, Woh Bahar
-E-Javidaana.............!
Book Name
Dast-E-Nazar
Page No 100-101

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo