Siskiyaan leti hui ghum-geen hawaao chup raho so rahe hain dard un ko mat jagaao chup raho


Siskiyaan leti hui ghum-geen hawaao chup raho
so rahe hain dard un ko mat jagaao chup raho

Raat ka patthar na pighlega shuaaon ke baghair
subah hone tak na bolo hum-nawaao chup raho

Band hain sab maikadey saaqi bane hain muhtasib
aye garajti goonjti kaali ghataao chup raho

Tum ko hai maloom aakhir kaun sa mausam hai ye
fasl-e-gul aane talak aye khush-nawaao chup raho

Soch ki deewaar se lag kar hain ghum baithe hue
dil mein bhi naghma na koi gungunaao chup raho

Chhant gaye haalaat ke baadal toh dekha jaayega
waqt se pehle andhere mein na jaao chup raho

Dekh lena ghar se niklega na humsaaya koi
aye mere yaaro mere dard-aashnaao chup raho

Kyon shareek-e-ghum banaate ho kisi ko aye qateel
apni sooli apne kaandhe par uthaao chup raho. !!
Qateel Shifai

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo