Sukoon Loot Kar Phir Sataane Lage Hain, Na Jane Woh Kyun Yaad Aane Lage Hain,

Poet: Naseer-U-Deen Naseer

Type By
*._.Murtaza._*

Sukoon Loot Kar Phir
Sataane Lage Hain,

Na Jane Woh Kyun
Yaad Aane Lage Hain,

Ga'ee Kamsini, Hosh
Aane Lage Hain,

Woh Har Baat Hum Se
Chupaane Lage Hain,

Hain Makhmoor
Aankhon Pe Zulifoon
Ke Saa'e,

Sar-E-Maykadaah
Abar Chaane Lage
Hain,

Zara Sabar, Ae
Gancha-E-Na Shagafta!

Ke Woh Khair Se
Muskuraane Lage
Hain,

Jinhain Zindagi Bhar
Na Aane Ki Zidd Thi,

Ab Aa Jaa'ein, Maiyat
Uthane Lage Hain,

Khudaara Koi Un Se
Itna Toh Pooche,

Woh Kyun Aankh
Hum Se Churane Lage
Hain,

Unhain Toh Na Yoon
Bazam Se Tum
Uthaate,

Jinhain Baithne Main
Zamaane Lage Hain,

Rahi Umar Bhar Jin Ki
Tassveer Dil Main,

Tassavur Main Aa Kar
Sataane Lage Hain,

Suna Hai Meri Zidd
Main Kuch Nang-E-
Hassti,

Teri Bazam Main
Aane Jane Lage Hain,

Qazaa Ne Bhi Na
Paaya Na Un Ka
Thikaana,

Tere Haath Se Jo
Thikaane Lage Hain,

Na Jane Woh Ik
Lamha-E-Qurb Kia Tha,

Taa'qub Main Jis Ke
Zamaane "Lage Hain",

Jo Hansste Thay Kal
Tak Meri Be Bassi Par,

Woh Khud Aaj Aansoo
Bahaane Lage Hain,

Bohat Be Sukoon Hai
NASSEER Aaj Koi,

Tere Ashak Bhi Rang
Laane Lage Hain........!

Book Name
Dast-E-Nazar
Page No 221-222

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo