Today is birth anniversary of Sahir Ludhianvi aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya jab jee chaha masla kachla, jab jee chaha dhutkar diya

Today is birth anniversary of Sahir Ludhianvi

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

jab jee chaha masla kachla, jab jee chaha dhutkar diya

tulti hai dinaron mein hai , bikti hai bazaron mein 

nangi nachwai jati hai jati ,ayyashon ke darbaron mein

yeh woh be ghairat cheez hai jo butt jati hai izzatdaron mein

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

mardon ke liye har zulm rawa, aurat ke liye rona bhi khata

mardon ke liye lakhoonsejen , aurat ke liye bas aik chitta

mardon ke liye har aish ka haq, aurat ke liye jeena bhi saza

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

jin seenon ne un ko doodh diya, un seenon ka byopaar kya

jis kookh mein un ka jism dhala, is kookh ka kaarobar kya

jis tan se uge konpal ban kar, is tan ko zaleel o khawar kya

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

mardon ne banayen jo rasmen un ko haq ka farmaan kaha

aurat ke zindah julne ko, qurbani aur balidan kaha

ismat ke badlay roti di aur is ko bhi ahsaan kaha

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

sansar ki har ik be sharmi, gurbat ki goad main palti hai

chaklon mein aakar rukti hai, faqon se jo raah nikalti hai

mardon ki hawas hai jo aksar, aurat ke paap mein dhalti hai

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

aurat sansar ki qismat hai, phir bhi taqdeer ki beti hai

otaar peyambar janati hai, phir bhi shaitan ki beti hai

yeh woh budqismat maan hai jo beton ki sej pay laitee hai

aurat ne janam diya mardon ko, mardon ne usay bazaar diya

Sahir Ludhianvi

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo