Wada-e-Hoor Se Behlaye Huay Log Hain Hum Khak Bolain Ge, K Dafnaye Huay Log Hain Hum

Wada-e-Hoor Se Behlaye Huay Log Hain Hum

Khak Bolain Ge, K Dafnaye Huay Log Hain Hum

Yun Her Ek Zulm Pe Dum Saadhe Khare Hain

Jesse Deewar Main Chunwaye Huay Log Hain Hum

Uski Her Baat Pe Labaik Bhala Kiun Na Kahain

Zar Ki Jhankar Pe ,Bulwaye Huay Log Hain Hum

Jis Ka Ji Chahe Wohi Ungli Pe Nacha Laita Hai

Jesse Bazaar Se Mangwaye Huay Log Hain Hum

Hansi Aye Bhi Tu Hanste Huay Dar Lagta Hai

Zindagi Yun Tere Zakhmaye Huay Log Hain Hum

Aasmaan Apna, Zameen Apni, Na Saans Apni Tu Phir

Jane Kis Baat Pe ,Itraye Huay Log Hain Hum

Jis Tarah Chah Bana le Humain Waqt Qateel

Dard Ki Aanch Pe, Pighlaye Huay Log Hain Hum

No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo