Ya Khuda! Muhay Qulzamoon ki gehrai main daboo daiy Jahan Aazal ta aabad tak tarikiyoon kay saiy hain


Zakhmi Labon ki Saada ................. 

Poetess: Uzma Gillani

Ya Khuda!
Muhay Qulzamoon ki gehrai main daboo daiy
Jahan Aazal ta aabad tak tarikiyoon kay saiy hain
Jahan mout noha khawan hay
Jahan zindgi bhi larzan hay
Khouf-e-aagahi say

Aagahi!

Eil zehar hay
Aah! Ik Aazab hay
Eil taisha jo dil main uutarta jaa raha hay
Main issay kiyoon bhool jaon
Wohi to mughay mout say kareeb karta hay

Haan Shayad!

Azab-e-Aagahi hi mera rafiq hay
Meray riistay hoay zakhmoon ko
Meri tahaoon aur jardon tak gehra kar daiy
Meray laboon ko baylehan –o-beausada kar daiy
Meray aansooyon ko meri aankhon main
Munjmand karday

Takeh!

Meri aankhan hamesha kay liay dhundla jain
Meray qalam ko
Meri zakhmi ungliyon main
Paywast kar day
Mera riista hua khoon meray qalam main jama hota rahay
Aur qalam likhta rahay ik bay naam sa naam

Ya phir

Mughay aasman ki wisatoon main bikhra day
Uss naam kay saath jo meray baatin main hay
Ussay zahir main bhi mera kar day
Aagar yeh ssab mumkin naheen tou
Meray khoon ko meri raggon main munjmind kar daiy


No comments:

Post a Comment

Featured post

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo

Main tumko bhool jaonga lekin yeh shart hai Gulshan mein chal ke phool se khushbo juda karo